मंगलवार, 17 अगस्त 2010

Bhawna!

Hi friends ! kal jaldi subah shuru hue azadi k jashn ko dekher man gad -gad ho gaya......kuch bhi ho aise mauke pe seena chauda ho hi jata hai.....hamne krantikariyon, azadi k parwano ki kahaniyan  suni sunai... wakai desh bhaki ka jazba kahin na kahin dil ke ek kone me kulbulane lga......Shaya desh ke har ek nagrik ke ander ye bhawna jazb hui hogi.

                      Azadi k matwalon ke dwara gaya jane wala gaan ho ya geet...sabne bade maan-samman se gaya hoga. kitni pavitra bhawna  hoti hai hamare dilon me... per Tv per aaj ek program me jo dekha ... tho ji kharab ho gaya.... Jan Gan Man ka gaan bajaya gaya tha..... Zra sochiye , sachhe man se aadar ke sath kade hoker  gaye- sune jane wale es gaan ko sunker kitne log khade hue honge... ye kya hai.?.. hamari naitikta..., hamari.....deshbhakti, hamara.....desh prem., sab kahan chala jata hai?  kya hamara desh bhakti ka  kartvya  etna hi hai ki ham desh aur desh bhakti se judi baton ko sirf chand dinon  me hi yaad karen....


                         Aur kya tv programmes me ye sab dikhina chahiye?
 Sochiye Aur bataiyega....

                                                                                                                           Apka  Rajeev

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें